ai mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyo.n aaj tere naam pe ronaa aayaa
.
yuu.N to har shaam ummiido.n me.n guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa
.
kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
manzil-e-ishq me.n har gaam pe ronaa aayaa
.
jab huaa zikr zamaane me.n mohabbat kaa 'Shakeel'
mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa
.
No comments:
Post a Comment