a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath
besaaKhtaa nigaahe.n jo aapas me.n mil ga_ii.n
kyaa muu.Nh pe us ne rakh liye aa.Nkhe.n churaa ke haath
vo zaanuo.n pe siinaa chhupaanaa simaT ke haay
aur phir sambhaalanaa vo dupaTTaa chhu.Daa ke haath
denaa vo us kaa saaGar-e-may yaad hai "Nizam"
muu.Nh pher ko udhar ko idhar ko ba.Dhaa ke haath
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment