Thursday, August 14, 2008

apane saaye se bhii ashko.n ko chhupaa kar ronaa

apane saaye se bhii ashko.n ko chhupaa kar ronaa

jab bhii ronaa ho charaaGo.n ko bujhaa kar ronaa


haath bhii jaate huye vo to milaakar na gayaa

mai.n ne chaahaa jise siine se lagaa kar ronaa


tere diivaane kaa kyaa haal kiyaa hai Gam ne

muskuraate huye logo.n me.n bhii jaa kar ronaa


log pa.D lete hai.n chehare pe likhii tahariire.n

itanaa dushvaar hai logo.n se chhupaa kar ronaa

No comments: