Friday, August 15, 2008

bad_naam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai

bad_naam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diivaane bhii kahate hai.n kii diivaanaa huaa hai


rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne to.Daa
apanaa thaa tabhii to ko_ii begaanaa huaa hai


baadal kii tarah aa ke baras jaa_iye ik din
dil aap ke hote hue viiraana huaa hai


bajate hai.n Khayaalo.n me.n terii yaad ke ghungaruu
kuchh din se meraa ghar bhii pari_Khaanaa huaa hai


mausam ne banaayaa hai nigaaho.n ko sharaabii
jis phuul ko dekhuu.N vahii paimaanaa huaa hai

No comments: