Thursday, August 7, 2008

kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko

kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko

na jaane kaise Khabar ho ga_ii zamaane ko

chaman me.n barq nahii.n chho.Datii kisii suurat

tarah tarah se banaataa huu.N aashiyaane ko

sunaa hai Gair kii mahafil me.n tum na jaaoge

kaho to aaj sajaa luu.N Gariib-Khaane ko

duaa bahaar kii maa.Ngii to itane phuul khile

kahii.n jagah na milii mere aashiyaane ko

chaman me.n jaanaa to sayyaad dekh kar jaanaa

akelaa chho.D kar aayaa huu.N aashiyaane ko

merii lahad pe pata.ngo.n kaa Khuu.N hotaa hai

huzuur shammaa na laayaa kare.n jalaane ko

dabaa ke chal diye sab qabr me.n duaa na salaam

zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko

ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aayegaa

jo hukm ho to yahii.n chho.D duu.N fasaane ko

'Qamar' zaraa bhii nahii.n tujhako Khauf-e-rusavaa_ii

chale ho chaa.Ndanii shab me.n u.nhe.n manaane ko

Shabnam Majeed sings http://in.youtube.com/watch?v=5Emd1hZ5Xjc

No comments: